Patna mein Ghatna
     
    Bihar ki rajdhani patna,
    wahan ke hotel mein ghati
    ek vichitra ghatna..
    Ek buddha buddhi ayee
    aur khane ke liye unho ne
    tandoori chicken mangwayee.
     
    Waiter chicken le kar aya..
    aur dekh kar ghabraya..
    ke pehle to buddhe ne khaya..
    buddhi dekhti rahi.. pankha karti rahi..
    phir buddhi ne khaya..
    buddha dekhta raha.. pankha karta raha..
     
    Is amar prem ko dekh kar
    uska sur chakraya
    aur woh bola
    "aap dono ne ek saath khaya hota
    to khane ka maza kuch aur hota.."
     
    Ise sun buddhe ne furmaya
    "beta tumhara khayal to
    bilkul nek hai..
    par kya karen
    hamare paas datoon ka set ek hai.. "