FASLE
 
Purwa nazar aaye jo kabhi kabhi
wo tere aur mere naseeb kee baran ho
 
ban gayee wo khushbu main
bikhar jaye to rakh simat jaye to miti
 
dus rahe hain pehar dhaltee shaam ke
nagan jaise jhanjor rahee ho ujle tan ko
 
tanhai ka azab na chakhe koi
jo chakh gaya kate umarqaid
 
kam karoon jitna fasla,barhta jaata hai
seekha main ne yehi ghatta naheen kuch bhee
 
pani jab mere sune aangan kee miti par pare
yaad dilaye tere aur mere fasle kee dastan
 
jo kalee aaj mere aangan main khilee
sochti hai jiss aangan khilee wo hai murjhaya
 
pagal kali mere iss weeran aangan matlab naa jaane
iss mein to basi hai khushbu mere jaane wale kee
 
Purwa nazar aaye jo kabhi kabhi
wo tere aur mere naseeb kee baran ho