LAMHE
pal kee pyas hain ye meri zindagee ke lamhe
bikharte uthte samandar kee lehron kee tarah
kuch kehte hain kabhi kuch le jaate hain hum se
bus hum takte rehte hain inhee lamhon ko
ek bemaini qaid dee hai inhon ne
bus uss waqt ko hum rokte hain
khabar naheen ke kab guzar jaate hain
qatra qatra bante bigarte ye lamhe
kabhe thandak kabhee aag seene ko diye jaate hain
shaid tamanna karen kabhi bhool jaane kee inn ko
dunya mein koshish kiye bhethen hain sabhi
rehai mumkin naheen par inn lamhon se