MAA
 
seekh raha hai ye lafz adam kainaat kee ibtida se
pehchaan raha hai iss ek lafz ko apnee ibtida se
 
jahan kee khoobsurati pinha hai iss mein
sab kuch paya hai insaan ne iss wajood mein
 
bikhar kar aata bhee hai to pata hai ye mazboot saya
jis ke aanchal mein bandhe hain tere liye duaen
 
itna beqadar kar deta hai kabhi tu iss ko
kadmon tale rakhee jis ke jannat khuda ne
 
zindagee kee har majboori ko seh jaatee hai tere liye
tu bhir bhee uss ke lams ko mehsoos kyoon naa kare
 
wo jo hai tere kareeb to iss kee kar qadar
kho dega to bujha lage gaa tujh ko tera muqadar
 
phool hai,wo bahar kee hai rut tere liye
chali gayi ye rut to naa ayegi lout kar